bichha hua koi tanhaiyon ka jal na tha tere firaq se pahle ye ghar ka haal na tha thake to yun ki hamein aarzu thi sae ki saubaton se safar ki badan nidhaal na tha kuchh aise mod pe bichhde the hum mohabbat mein mujhe bhi ranj use bhi koi malal na tha nigah tu ne kisi aur hi pe ki hoti jo hum shikasta dilon ka tujhe khayal na tha kabhi kabhi koi baadal baras bhi jata tha zamin-e-shahr ka itna bura to haal na tha chhupa hua mera dushman tha khud mere andar so apne-ap se bachne ka kuchh sawal na tha gae dinon ka tujhe dhyan tak nahin 'khawar' tera wo ishq yahi hai jise zawal na tha