kisi aur ne to buna nahin mera aasman mera aasman tere aasman se juda nahin mera aasman mera aasman ye zamin meri zamin hai ye jahan mera jahan hai kisi dusre se mila nahin mera aasman mera aasman kahin dhup hai kahin chandni kahin rang hai kahin raushni kahin aansuon se dhula nahin mera aasman mera aasman use chhu sakun ye junun hai meri ruh ko ye sukun hai yahan kab kisi ka hua nahin mera aasman mera aasman girin bijliyan meri rah par kai aandhiyan bhi chalin magar kabhi baadalon sa jhuka nahin mera aasman mera aasman