hote hain jo sab ke wo kisi ke nahin hote auron ke to kya honge wo apne nahin hote mil un se kabhi jagte hain jin ke muqaddar teri tarah har waqt wo soe nahin hote din mein jo phira karte hain hushiyar o khabar-dar wo meri tarah raat ko jage nahin hote hum un ki taraf se kabhi hote nahin ghafil rishte wahi pakke hain jo pakke nahin hote aghyar ne muddat se jo roke hue the kaam ab hum bhi ye dekhenge wo kaise nahin hote nakaami ki surat mein mile tana-e-na-yafat ab kaam mere itne bhi kachche nahin hote shab ahl-e-hawas aise pareshan the 'basir' jaise mah-o-anjum kabhi dekhe nahin hote