kisi baat pe ranj KHuda ki qasam na idhar se hua na udhar se hua

kisi baat pe ranj khuda ki qasam na idhar se hua na udhar se hua
kisi tarah ka ranj-o-malal baham na idhar se hua na udhar se hua

hue yar to rahi-e-mulk-e-adam yahan rote hain un ke firaq mein hum
khule kyunki ye haal ki haal raqam na idhar se hua na udhar se hua

mere un ke jo dil ko tha rabt baham ye ghalat hai jo ghair batate hain kam
wahi rabt hai pahla sa is mein to kam na idhar se hua na udhar se hua

hamein zabt ki khu unhen zulm ka dhab gai umr to apni isi mein hi sab
raha ye hi moamla chaara-e-gham na idhar se hua na udhar se hua

kabhi dil ko jigar ka hai ranj-o-alam kabhi dil ka jigar ko hai sadma-e-gham
raha yun hi juda gham-o-ranj-o-alam na idhar se hua na udhar se hua

koi kahta qadim zamane ko hai koi le gaya us ke hudus pe pai
jo tha haqq-e-subut-e-hudus-o-qidam na idhar se hua na udhar se hua

yun hi hum to sitam-kash-e-charkh rahe isi haal mein yar ke zulm sahe
kabhi 'aish' kam aah ye zulm-o-sitam na idhar se hua na udhar se hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close