na to piste hi se raghbat hai na baadam se shauq

na to piste hi se raghbat hai na baadam se shauq
hai magar chashm-o-lab-o-saqi-o-gulfam se shauq

jo giraftar hain us zulf-e-musalsal ke suna
na unhen kaam qafas se hai na kuchh dam se shauq

kaun sa howega kambakht wo aashiq jis ko
hoga furqat mein dil-aram ke aaram se shauq

misl-e-aina takega teri surat ko mudam
ye to jaane ka nahin is dil-e-nakaam se shauq

phad kar khat ko wo kahne lage qasid se mujhe
abe sunta hai nahin nama-o-paigham se shauq

is tawaqqo pe ki shayad wo sahar ko nikle
ghar se bahar liye phirta hai sar-e-sham se shauq

zulf us rukh pe chhuti rahti hai hairan hai aql
kyon na hairan ho hindu ko aur islam se shauq

phirna us kuche mein ya palkon se jhadu deni
raat din hum ko hai ai 'aish' isi kaam se shauq


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close