kisi bachpan mein banai hui kashti jaisa sath tera tha magar dhup ki narmi jaisa main musafir thi ki manzil hi nahin thi jis ki tu mere sath kisi rail ki patri jaisa phul shakhon pe koi khil hi nahin paya tha mausam-e-wasl kisi hijr ki sakhti jaisa sakhtiyan bolti rahti thin tere lahje mein aur mera dil ye kisi kanch ki chudi jaisa hum tere wade ki zanjir liye baithe rahe jagti aankh mein ek khwab tha lori jaisa dard in aankhon se dariya ki tarah nikla hai 'hadia' hum to samajhte the sarabi jaisa