kis zindagi ke mod pe laya gaya mujhe main hans rahi thi aur rulaya gaya mujhe pahle to tira-bakht musalsal kaha gaya phir takht-e-zau-fishan pe bithaya gaya mujhe pahle to intikhab hua nam-e-husn par phir ism-e-ishq le ke banaya gaya mujhe mujh se mere khayal ki tanhai chhin gai mahfil mein kis sada se bulaya gaya mujhe aghyar se wo karta raha muskura ke baat is aag ki hadon mein jalaya gaya mujhe rahbar ne is tarah se diya hai mujhe fareb manzil se hat ke rasta dikhaya gaya mujhe pahle meri wafa ko moattar kiya gaya phir gulshan-e-haya se sajaya gaya mujhe ek shakhs aa gaya hai nai raushni ke sath ye bhi khat-e-nafas se bataya gaya mujhe wo kaun aasman-e-tasawwur hai 'hadia' meri zamin se jis mein basaya gaya mujhe