kisi badan ki tamanna mein gham nikal aae ghamon ko bhuk lagi thi so hum nikal aae ajab sakhi hai zamane mein bant deta hai main jitna ishq use de dun kam nikal aae wo muflisi thi ki main hijr kha ke zinda raha visal-khor jo sun len to dam nikal aae mujhe wo ishq hua hai ki main agar chahun sanam-kade mein bhi hadd-e-haram nikal aae main sidhi sidhi laton par kathaen likhta tha pa teri zulf-e-kahani mein kham nikal aae ye tishna-lab jinhen mara gaya hai dariya par ye log chahen to suraj bhi nam nikal aae