koi saya pas-e-diwar thahar jaega raushni wala jise dekh ke dar jaega is ke aage tere sahil ka badan chamkega dil samundar hai yahin aa ke thahar jaega dil abhi hijr ke aaseb ka shaidai hai wasl barsega to ye bhut utar jaega chashm-e-hairat se ubal padne ko hai surkh furaat main bhi ab man ke baitha hun ki sar jaega