kisi be-dard ko zulm-o-sitam ka shauq jab hoga ye mera ek dil lakhon dilon mein muntakhab hoga hamara aur un ka samna mahshar mein jab hoga wo jalsa wo saman wo marka bhi kuchh ajab hoga koi zinda rahe duniya mein kya agli umidon par abhi to hijr ka rona hai hoga wasl jab hoga ladakpan ja chuka un ka jawani aane wali hai kabhi mujh par jafa hoti thi lekin qahr ab hoga tumhaare wasl ki saat hamesha talti rahti hai khuda jaane kahan hoga kise malum kab hoga abhi lazzat nahin us ko mili aazar-e-pinhan ki jo hoga bhi to hote hote dil iza-talab hoga wo apne wada-e-didar se phirne ko phir jaen magar ye to samajh len bewafa kis ka laqab hoga mujhe izhaar-e-ulfat par ye un se dad milti hai tumhaara ishq ek din meri zillat ka sabab hoga bhari mahfil mein un ko chhedne ki kya zarurat thi janab-e-'nuh' tum sa bhi na koi be-adab hoga