na koi nam o nasab hai na goshwara mera bas apni aab-o-hawa hi pe hai guzara mera meri zamin pe tere aaftab raushan hain tere falak pe chamakta hai ek sitara mera jo chahta hai wo taskhir kar le duniya ko kisi bhi shai pe nahin hai yahan ijara mera main ham-kanar hua ek lahar se aur phir kinare hi mein kahin gum hua kinara mera bas ek lamha-e-benam ki giraft mein hain na jaane kaisa talluq hai ye tumhaara mera to phir jo nafa hai main us mein kyun nahin shamil agar yahan ka khasara hai sab khasara mera jo dhyan tak nahin deta hai meri baaton par samajh raha hai wahi shakhs to ishaara mera kahin khushi ki numaish mein rakh diya ja kar kal us ne basta-e-gham taq se utara mera wahi hai til wahi rukhsar hain wahi tu hai magar nahin hai samarqand aur bukhara mera main baad o baran se aatish kashid karta hun ki aab o khak ki tamsil hai idara mera ab aa gaya hun to socha sada lagata chalun kise khabar yahan aana na ho dobara mera darun-e-khana koi bhi nahin kisi ka 'salim' pe dekhne mein to lagta hai shahr sara mera