kisi bhi khanaman-barbaad se nahin hoga hamara ishq to farhad se nahin hoga tumhaari dad ya be-dad se nahin hoga hamara sher hai imdad se nahin hoga ye lafziyat ye bandish ye fikr farsai ye kaam wo hai jo naqqad se nahin hoga yun khinchta hun ghazal mein tere badan ke khutut ye jaan-e-man kisi bahzad se nahin hoga agar hua bhi rihai ka gar koi imkan huzur minnat-o-fariyaad se nahin hoga