salamat rahen dil mein ghar karne wale is ujde makan mein basar karne wale gale par chhuri kyun nahin pher dete asiron ko be-baal-o-par karne wale andhere ujale kahin to milenge watan se hamein dar-ba-dar karne wale gareban mein munh dal kar khud to dekhen burai pe meri nazar karne wale is aaina-khane mein kya sar uthate haqiqat par apni nazar karne wale bahaar-e-do-roza se dil kya bahalta khabar kar chuke the khabar karne wale khade hain do-rahe pe dair o haram ke teri justuju mein safar karne wale sar-e-sham gul ho gai sham-e-baalin salamat hain ab tak sahar karne wale kuja sehn-e-alam kuja kunj-e-marqad basar kar rahe hain basar karne wale 'yagana' wahi fateh-e-lakhknau hain dil-e-sang-o-ahan mein ghar karne wale