kisi bhi raushan khayal se aashna nahin hai jo aap apne jamal se aashna nahin hai use khayalon mein jaisa chahun tarash lunga abhi nazar khadd-o-khal se aashna nahin hai abhi to dawa hai us ko mushkil-pasandiyon ka abhi wo kar-e-muhaal se aashna nahin hai abhi to mitti mahak uthi hai nami ko pa kar abhi wo pani ki chaal se aashna nahin hai mizaj hawi raha hamesha zaruraton par faqir harf-e-sawal se aashna nahin hai ghazal barae ghazal hai teri 'nadim' abhi tu ghazal ke husn-o-jamal se aashna nahin hai