nadan dil-fareb mohabbat na kha kabhi duniya mein kis ne ki hai kisi se wafa kabhi aisa bhi ittifaq junun mein hua kabhi main hanste hanste soch ke kuchh ro pada kabhi baitha hun is umid pe ek rahguzar par le aae is taraf tujhe shayad khuda kabhi ai dil ye mera husn-e-samaat na ho kahin tu ne bhi kya suni hai wo aawaz-e-pa kabhi us rashk-e-gul ke sath gai thi khiram ko phir laut kar idhar nahin aai saba kabhi 'rifat' ghamon ki tez hawaon ke bawajud hum ne charagh dil ka na bujhne diya kabhi