kisi bhi samt niklun mera pichha roz hota hai taaqub mein koi gumnam saya roz hota hai kisi ek mod par har roz mujh ko mil hi jati hai taaruf zindagi se ghaebana roz hota hai main ek anjaan manzil ke safar par jab nikalta hun tasawwur mein koi manus chehra roz hota hai yahi tanhaiyan hain jo mujhe tujh se milati hain inhin khamoshiyon se tera charcha roz hota hai ye ek ehsas hai aisa kisi se kah nahin sakta teri maujudgi ka ghar mein dhoka roz hota hai shajar bechaargi se dekhta hai is tamasha ko juda shakhon se us ki koi patta roz hota hai main apne-ap par bhi khud ko zahir kar nahin sakta mere ehsas par ek sakht pahra roz hota hai ye manzar dekh kar hairan rah jati hain maujen bhi yahan sahil pe ek tuta gharaunda roz hota hai bahut din se in aankhon ko yahi samjha raha hun main ye duniya hai yahan to ek tamasha roz hota hai main ek kirdar ki surat kai parton mein jita hun meri be-chehragi ka ek chehra roz hota hai