samundar bhi hua ibrat-nishan pani hi pani mere chaaron taraf hai al-aman pani hi pani ajab duniya hai is ko fikr-e-duniya hi nahin hai faqat dekha hai to girya-kunan pani hi pani nigah-e-nam se is nisbat bhi rishta jode rakkha ki main hun ek sahra aur wahan pani hi pani tumhaare sath jis dam tan-badan barish mein bhiga lahu ban kar ragon mein tha rawan pani hi pani samundar se hasad karne ko ab ji chahta hai hazaron sal se yunhi jawan pani hi pani yahan se bach nikalne ka koi rasta nahin hai kinare aur un ke darmiyan pani hi pani