ham-safar koi nahin to shor-o-shar kis ke liye ai musafir ye sada-e-rahguzar kis ke liye khud se ab tak baz rakkha main ne apne aap ko mar to jaana tha mujhe marta magar kis ke liye kaun aaya hai mere pichhe ye kaisa wahm hai main thahar jata hun har ek mod par kis ke liye ye jo rang-e-na-muradi khil raha hai chaar-su ai khizan is ka sabab kya hai ye zar kis ke liye chain bahar bhi nahin hai phir na jaane kyun 'zafar' dukh sa hota hai ki laut aaya hun ghar kis ke liye