kisi bhi taur tabiat kahan sambhalne ki tu mil bhi jae to haalat nahin badalne ki khud apni ham-safari se bhi ho gae mahrum ki aarzu thi tujhe sath le ke chalne ki kisi tarah to mile qahr-e-bekasi se najat koi to rah ho is karb se nikalne ki asir hi rahe hum pichhle ahd-namon ke hamein khabar hi nahin thi ruten badalne ki hawaon ne hamein jad se ukhad kar phenka ki aarzu thi hamein phulne ki phalne ki bana liya hamein apni hi tarah ka tu ne hamein jo zid thi teri khwahishon mein dhalne ki udas shamon ko kya dekh dekh rote ho abhi to aaengi raaten lahu ugalne ki ek aise waqt mein jab zindagi bhi maut lage 'riyaz' kaun si surat ho dil bahalne ki