main nazar se ek andaz-e-nazar hota hua kaun hai din raat mujh mein be-khabar hota hua khulta jata hai samundar baadban-dar-baadban main safar karta hua mujh se safar hota hua ek wusat aasman-dar-asman badhti hui ek parinda baal-o-par mein tar-ba-tar hota hua ek pahnai makan se la-makan hoti hui ek lamha mukhtasar se mukhtasar hota hua ek angdai se sare shahr ko nind aa gai ye tamasha main ne dekha baam par hota hua khinch li kis ne tanab-e-khema-e-sidq-o-safa kaun hai is dasht-e-gham mein be-hunar hota hua