kisi bhi zakhm ka dil par asar na tha koi ye baat jab ki hai jab chaara-gar na tha koi kisi se rang-e-ufuq hi ki baat kar lete ab is qadar bhi yahan mo'tabar na tha koi banae jaun kisi aur ke bhi naqsh-e-qadam ye kyun kahun ki mera ham-safar na tha koi guzar gae tere kuche se ajnabi ki tarah ki hum se silsila-e-baam-o-dar na tha koi jise guzar gae hum bade hunar ke sath wo zindagi thi hamari hunar na tha koi ajib hote hain aadab-e-rukhsat-e-mahfil ki uth ke wo bhi chala jis ka ghar na tha koi hujum-e-shahr mein shamil raha aur is ke baad 'sahar' udhar bhi gaya main jidhar na tha koi