ishq ki mere jo shohrat ho gai yar se mujh ko nadamat ho gai khak arz-e-muddaa us se karun jis ko baaton mein kudurat ho gai yan se jaane ko hain wo aachuk kahin kya bala ai abr-e-rahmat ho gai ab sitam aghyar par karne lage mere mar jaane se ibrat ho gai jalwa-e-mani nazar aane laga pite pite mai ye surat ho gai un ki baaten us ne bhi chhup kar sunin aaj naseh ko nasihat ho gai mana-e-wasl-e-ghair par hans kar kaha bare ab tum ko bhi ghairat ho gai bu-e-gul us gul ki bu ke ru-ba-ru fil-haqiqat be-haqiqat ho gai bas na farmate phiro ye 'shefta' go unhen tum se mohabbat ho gai