kisi buzurg pahadi pe tu utarta hai qadim dasht-e-ghashi mein khiram karta hai shajar ki chhaal utarte faqir rone laga badan ki khaal udhedo to phir nikharta hai masam chir ke ugti hai jism par utran hamara zahr khad-o-khal se utarta hai utha hijab jala de charagh mabad ke jahan-e-gard tera ab qiyam karta hai ajib khak chamakti hai apne chehre par ye aaina to hamein dekh kar sanwarta hai hamare jism pe kanda hazar-ha naqshe hamari aankh se har rasta guzarta hai kahin se harf utarta hai baur ki surat jo mujh se banjh darakhton ki shakhen bharta hai