kuchh bhi ho pesh-e-nazar jata hun main yar hai to hukm kar jata hun mein mujh ko kali kothari ki qaid hai raushni hote hi dar jata hun main sara din chalta hai mujh mein ek hujum sham hote hi bikhar jata hun main khush-mizaji bandh mere zakhm par tere hote chashm-e-tar jata hun main hadisa hote hi ghatta hai wajud jaaniye ab kis qadar jata hun main rang ukhde hain meri taswir ke ab kisi zangar par jata hun main surmai aawaz aati hai mujhe aur chhat par bhag kar jata hun main raat bhar chalti hai ab apni tarash subh tak malbe se bhar jata hun main roz karta hun naya kar-e-junun roz khali hath ghar jata hun main aasman se rizq aata hai mujhe bas kahin kashkol dhar jata hun main tujh ko rukna hai to ruk ja chhanw mein mera hai lamba safar jata hun main kaj-sukhan logon ki ujlat dekhiye sar ke upar se guzar jata hun main main ne 'rashid' kha liya khauf-e-khuda dekhiye bachta hun mar jata hun main