kisi daraaz mein rakhna ki taq par rakhna mere khutut-e-mohabbat sambhaal kar rakhna kisi bhi daur mein shayad main tere kaam aaun juda ho shauq se kuchh rabta magar rakhna ghataen yas ki chhaengi chhat bhi jaengi hujum-e-dard mein qabu hawas par rakhna khuda kare ki mile tujh ko manzil-e-maqsud faraaz pa ke nashebon pe bhi nazar rakhna ana ko bech ke jina bhi koi jina hai bala se jaan jo jati hai jae sar rakhna kabhi ho ghar mein jo mera bhi intizar tujhe andheri raat mein hargiz khula na dar rakhna khuda ke hath hai maut o hayat ai 'rasikh' hawas ke dar pe mohabbat ko mo'tabar rakhna