us ped ko chhua to samar-dar ho gaya phir jaane kya hua wo sharar-bar ho gaya mausam ki bhul thi ki meri dastaras ki baat patthar se ek phul numudar ho gaya bikhre hue hain dil mein meri khwahishon ke rang ab main bhi ek saja hua bazar ho gaya ek bar main bhi khwab mein baitha tha takht par aankhen khulin to aur bhi nadar ho gaya pahle to sar ko phod liya us ko dekh kar phir main bhi ek rauzan-e-diwar ho gaya waise tamam umr meri nind mein kati ghar mein naqab lagi to main bedar ho gaya yaro ye zindagi ka makan bhi ajib hai tamir ho gaya kabhi mismar ho gaya lafzon ke phul aanch si dene lage mujhe bebak aaj shoala-e-guftar ho gaya dushman nazar pada to mitin ranjishen tamam ladne ko sara shahr hi tayyar ho gaya mujrim bari hua to kai qatl ho gae basti ka ek gharib giraftar ho gaya 'afzal' kuchh is tarah ki achanak hawa chali sansen bahaal rakhna bhi dushwar ho gaya