kisi dasht o dar se guzarna bhi kya hue khak jab to bikharna bhi kya wahi ek samundar wahi ek hawa meri sham tera sanwarna bhi kya lakiron ke hain khel sab zawiye idhar se udhar panw dharna bhi kya mujhe ub si sab se hone lagi ye jina bhi kya aur marna bhi kya agar un se bach kar nikal jaiye to phir us ki aankhon se darna bhi kya ghane jangalon ki bujhi kaise aag kahin pas tha koi jharna bhi kya kisi tarah se us ka ghar to mila magar ab mulaqat karna bhi kya