asiran-e-qafas sehn-e-chaman ko yaad karte hain bhala bulbul pe yun bhi zulm ai sayyaad karte hain kamar ka tere jis dam naqsh hum ijad karte hain to jaan farman aa kar mani o bahzad karte hain pas-e-murdan to rahne de zamin par ai saba mujh ko ki mitti khaksaron ki nahin barbaad karte hain dam-e-raftar aati hai sada pazeb se teri lahad ke khastagan uttho masiha yaad karte hain qafas mein ab to ai sayyaad apna dil tadapta hai bahaar aai hai murghan-e-chaman fariyaad karte hain bata de ai nasim-e-subh shayad mar gaya majnun ye kis ke phul uthte hain jo gul fariyaad karte hain masal sach hai bashar ki qadar neamat baad hoti hai suna hai aaj tak hum ko bahut wo yaad karte hain lagaya baghban ne zakhm-e-kari dil pe bulbul ke gareban-chaak ghunche hain to gul fariyaad karte hain 'rasa' aage na likh ab haal apni be-qarari ka ba-rang-e-ghuncha-lab mazmun tere fariyaad karte hain