kisi din ghar mere aaya to hota

kisi din ghar mere aaya to hota
talattuf mujh pe farmaya to hota

zara zulfon ko dikhlaya to hota
bala sar par mere laya to hota

ayaadat ko agar aaya nahin wo
janaze par mere aaya to hota

gul-e-khubi chaman mein muskura kar
zara ghunche ko sharmaya to hota

bula kar kan ki bijli ko apne
kabhi bijli ko chamkaya to hota

wafa par bhi jafaen kar raha hai
are zalim tu pachhtaya to hota

gulistan mein kisi din dil pe bulbul
mere manind gul khaya to hota

mere lashe ko ai rashk-e-masiha
zara qum kah ke thukraya to hota

tere ‘khanjar’ se qatil mere manind
kisi ne sar ko katwaya to hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close