kiye jata jo wo jaur-o-jafa hai

kiye jata jo wo jaur-o-jafa hai
jafa ki bhi kuchh aakhir intiha hai

usi ne de ke dam dil le liya hai
qusur is mein batao mera kya hai

faqiron ka pata kya puchhte ho
jahan thahre wahi rahne ki ja hai

zara dekho to chashm-e-ghaur se tum
yahi aaina-e-dil haq-numa hai

hue dagh-e-junun taza hamare
bahaar aai chaman phula-phala hai

teri khak-e-qadam ai rashk aisi
mariz-e-hijr ko khak-e-shifa hai

hai ye daur-e-shabab ai saqi-e-dahr
pila de mai uthi kali ghata hai

nahin dawa hai qatil se kuchh apna
mujhe to zabh 'khanjar' ne kiya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close