kisi ishq-o-rizq ke jal mein nahin aaega ye faqir ab teri chaal mein nahin aaega main mana to lunga use magar wo ana-parast meri samt ab kisi haal mein nahin aaega main kahunga harf-e-talab kuchh aise kamal se mera dard mere sawal mein nahin aaega kabhi apni ek jhalak mujhe bhi nawaz de koi farq tere jamal mein nahin aaega yahi mehnaton ka sila raha to phir ai khuda mujhe lutf-e-rizq-e-halal nahin aaega