mansur pite hi mai-e-ulfat bahak gaya jam-e-mai-e-alast bhara tha chhalak gaya piri hui shabab se utra jhatak gaya shair hun mera misr-e-sani latak gaya mujh rind-pak ka kabhi chullu na bhar diya saqi tere karam se har ek yar chhak gaya main lot ho gaya hun khat-e-sabz-rang par khar-e-chaman se daman-e-dil pe atak gaya piri mein dil diya but-e-be-raham yar ko manzil qarib thi ki musafir bahak gaya bhadkaya dil ko tazkira-e-husn-e-yar ne ek dher aag ka tha hawa se dahak gaya parda sharab-e-ishq ka mansur se khula naddaf tha ki pamba-e-mina dhanak gaya bulbul hai chup nasim-e-sahar bhi khamosh hai shayad chaman mein barg-e-kharabi khadak gaya jam-e-bilur mai ka bhara yar ne diya shab ko hamara akhtar-e-talea chamak gaya tu wo hasin hua ki hue tujh pe sab fida aisa hi gul khila ki zamana mahak gaya rutba tere karam se hua khaksar ka khurshid ki tarah se ye zarra chamak gaya saude se jo bhara wo hua sar wabaal-e-dosh bar-e-shajar hua wo samar jo ki pak gaya lagta bahaar-e-gul mein gareban ka kya pata daman ke phadne mein kaho hath thak gaya