kisi jaanib se bhi parcham na lahu ka nikla ab ke mausam mein bhi aalam wahi hu ka nikla dast-e-qatil se kuchh ummid-e-shafa thi lekin nok-e-khanjar se bhi kanta na gulu ka nikla ishq ilzam lagata tha hawas par kya kya ye munafiq bhi tere wasl ka bhuka nikla ji nahin chahta mai-khane ko jaen jab se shaikh bhi bazm-nashin ahl-e-subu ka nikla dil ko hum chhod ke duniya ki taraf aae the ye shabistan bhi isi ghaaliya-mu ka nikla hum abas sozan-o-rishta liye galiyon mein phire kisi dil mein na koi kaam rafu ka nikla yar-e-be-faiz se kyun hum ko tawaqqo thi 'faraaz' jo na apna na hamara na adu ka nikla