yar kahta hai tajalli-e-laqa thi main na tha tur-e-sina par wahi jalwa-numa thi main na tha gumbad-e-aflak par jis ka hua akasr guzar wo dil-e-bimar-e-gham ki ek dua thi main na tha har taraf thi aalam-e-imkan mein jo phaili hui mere asrar-e-haqiqat ki ziya thi main na tha misl-e-bu-e-gul tere kuche mein tha jis ka guzar ai sanam wo meri jaan-e-mubtala thi main na tha bostan mein talib-e-didar thi jo aap ki wo gul-e-nargis ki chashm-e-ba-ziya thi main na tha baad-e-murdan qabr mein mujh ko sula kar ye kaha dard tha betabiyan thin aur qaza thi main na tha ek jhalak dikhla ke apni kis ada se kah gaya jis ko dekha wo bhi shan-e-kibriya thi main na tha jis ne chuma waqt-e-pamali qudum-e-naz ko khun-e-dil ba-shokhi-e-rang-e-hina thi main na tha darguzar kar aaine se aap ne moda hai munh is mein meri hasrat-e-hairat-faza thi main na tha zari-o-shewan hamari kab suni hain aap ne bostan mein bulbul-e-naghma-sara thi main na tha ud ke jo pahunchi saba ke sath galiyon mein teri musht-e-khak-e-kushta-e-tegh-e-ada thi main na tha dekh kar un ko jo main fart-e-masarrat se mara wo lage kahne ki ye us ki qaza thi main na tha tha main taswir-e-khyali hasti-e-mauhum mein wo bhi shan-e-ishq-e-shah-e-do-sra thi main na tha ai 'jamila' bostan-e-ishq mein waqt-e-sahar nikhat-e-gul si jo pahunchi wo saba thi main na tha