kisi ka aahang kaif-za hai kisi ka lahja gulu-girafta

kisi ka aahang kaif-za hai kisi ka lahja gulu-girafta
ba-qadr-e-irfan zindagi hai har ek dil aarzu-girafta

ye kaisi taswir-e-zindagi hai jo safha-e-dahr par khinchi hai
sitam ka khanjar hai zer-e-daman to aastin hai lahu-girafta

musafir-e-ku-ba-ku ka yaro nahin koi mustaqil thikana
hayat hai aarzu ki mari mazaq hai justuju-girafta

kisi ki duniya ujad chuki hai nasib ko ro raha hai koi
kisi ka gulshan hara bhara hai koi hai zauq-e-numu-girafta

libas-andar-libas rah kar nazar mein jo be-libas thahre
badan churae to kis tarah se wo mahwash-e-abru-girafta

kabhi bhi is par khizan ka saya na pad saka hai na pad sakega
ghazal wo bagh-e-sukhan hai jis ki bahaar hai rang-o-bu-girafta

nigah-e-saqi ki ek jumbish hai lakh taskin-e-dil ka saman
'saba' wo ehsas-e-tishnagi hai kabhi na ho jo subu-girafta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close