mai-kade ki shart daur-e-baada-o-saghar ki qaid

mai-kade ki shart daur-e-baada-o-saghar ki qaid
ek meri tishnagi aur us pe duniya bhar ki qaid

ishq mein sahra-nawardi ka bahana chahiye
wahshat-e-dil ke liye achchhi nahin hai ghar ki qaid

mawara-e-arsh hai mere takhayyul ki udan
harf-e-be-mani samajhta hun main baal-o-par ki qaid

dai-e-soz-e-jigar ho kyon na parwane ki khak
sham-e-mahfil ke liye hai mom ke paikar ki qaid

zindagi ka ma-hasal hai iztirab-e-zindagi
jada-e-ulfat mein lazim hai dil-e-muztar ki qaid

aadmi ki khwab-gahen hain salib-o-tegh bhi
nind se be-tab aankhon ko nahin bistar ki qaid

kya jahan-e-rang-o-nikhat ki qasam kafi na thi
kyon pae-saugand rakhi tum ne apne sar ki qaid

waqt ke sail-e-rawan ke samne kuchh bhi nahin
baadban-e-azm ki bandish ho ya langar ki qaid

sar-ba-sajda jab kabhi zauq-e-jabin-sai hua
jazb-e-ulfat ne laga di us ke sang-e-dar ki qaid

kya kisi dariya ki lahren gin nahin sakta tha main
khwab mein rakkhi gai kyon ret ke manzar ki qaid

meri nazron mein mohabbat wo ibaadat hai 'saba'
jis ibaadat mein nahin hai phul aur patthar ki qaid


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close