kisi ka dhyan mah-e-nim-mah mein aaya

kisi ka dhyan mah-e-nim-mah mein aaya
safar ki raat thi aur khwab rah mein aaya

tulu-e-saat-e-shab-khun hai aur mera dil
kisi sitara-e-bad ki nigah mein aaya

mah o sitara se dil ki taraf chala wo jawan
adu ki qaid se apni sipah mein aaya

jihad-e-gham mein koi sust zarb meri tarah
giraft-e-maisara-e-ashk-o-ah mein aaya

sitare dub gae aur wo sitara-gar
thakan se chur zamin ki panah mein aaya

charagh hai meri raaton ka ek khwab-e-visal
jo koi pal teri chashm-e-siyah mein aaya

dukhi dilon ki salami qubul karte hue
nazar jhukae koi khanqah mein aaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close