main kaun hun kya hun main yahi soch raha hun surat mein muqayyad hun magar bikhra hua hun ta-hadd-e-nazar mere siwa koi nahin hai main jaise kisi dard ke sahra mein khada hun ye baat meri soch se bahar hai abhi tak main koh tha phir kaise samundar mein baha hun ye sach hai kisi ka hun main matlub na talib hairan hun ki kis waste duniya mein jiya hun be-bas hun main ai mujh se ziya mangne walo main dip tha jalne se magar pahle bujha hun 'premi' mujhe is baat ka khud ilm nahin hai wo kaun hai main jis ke khayalon mein ghira hun