kisi ka koi thikana hai koi thor bhi hai ye zindagi hai kahin is ka or-chhor bhi hai jhula raha hai ye gahwara kaun sadiyon se are kisi ne ye dekha ki koi dor bhi hai har aadmi hai yahan jabr-o-ikhtiyar ke sath magar ye dekh kisi ka kisi pe zor bhi hai sunega koi to phir kuchh use sunai na de ki har sukut ke parde mein ek shor bhi hai wo husn ishq-sifat hai wo ishq husn-numa wo mera chand bhi hai wo mera chakor bhi hai shikar kar ki dilon ki sunahre jangal mein zarur raqs mein badmast koi mor bhi hai hazar jaan se hum ek hain ye sach hai 'shaz' riwaj-o-rasm ka lekin dilon mein chor bhi hai