kisi ka yun to hua kaun umr-bhar phir bhi na jaane kyun tha yaqin tere pyar par phir bhi hazar bar mere dil ko us ne thukraya mujhe hai us se umid-e-wafa magar phir bhi tumhaare naqsh-e-qadam par gaya main sar-ba-sujud kisi ke aage jhukaya na tha ye sar phir bhi main us ki chah mein donon jahan chhod chala wo bewafa na mera ho saka magar phir bhi tumhaari bazm se nikle to phir mili na aman bhatakte phirte rahe garche dar-ba-dar phir bhi na tu hi tu wo raha aur na main hi main wo raha hai naqsh nam tera mere qalb par phir bhi main apni jaan bhi us par luta ke dekh chuka use aziz raha mujh se mal-o-zar phir bhi main tujh ko chhod ke sar phodne kahan jaun mere nasib mein hai tera sang-e-dar phir bhi bana sake na tere dil mein apna ghar 'arif' luta diya teri chahat mein apna ghar phir bhi