aasan nahin hai jada-e-hairat uburna hairan hue baghair use mat uburna mere khilaf koi bhi bakta rahe magar sikha hai main ne sarhad-e-tohmat uburna sad-afrin khayal to achchha hai waqai aankhon ko band kar ke mohabbat uburna aawargan-e-ishq zara ehtiyat se lazzat ke baad lazzat-e-shahwat uburna tamir-e-mah-o-sal mein takhir ke baghair kis ko rawa hai arsa-e-mohlat uburna juzw-e-badan banega to bahar bhi aaega ye zakhm thodi der se hazrat uburna