kisi kali ne bhi dekha na aankh bhar ke mujhe guzar gai jaras-e-gul udas kar ke mujhe main so raha tha kisi yaad ke shabistan mein jaga ke chhod gae qafile sahar ke mujhe main ro raha tha muqaddar ki sakht rahon mein uda ke le gae jadu teri nazar ke mujhe main tere dard ki tughyaniyon mein dub gaya pukarte rahe tare ubhar ubhar ke mujhe tere firaq ki raaten kabhi na bhulengi maze mile unhin raaton mein umr bhar ke mujhe zara si der thaharne de ai gham-e-duniya bula raha hai koi baam se utar ke mujhe phir aaj aai thi ek mauja-e-hawa-e-tarab suna gai hai fasane idhar udhar ke mujhe