sadiyon philosophy ki chunan aur chunin rahi lekin khuda ki baat jahan thi wahin rahi zor-azmaiyan huin science ki bhi khub taqat badhi kisi ki kisi mein nahin rahi duniya kabhi na sulh pe mail hui magar baham hamesha barsar-e-paikar-o-kin rahi paya agar farogh to sirf un nufus ne jin ki ki khizr-e-rah faqat sham-e-din rahi allah hi ki yaad bahar-haal khalq mein wajh-e-sukun-e-khatir-e-andoh-gin rahi