kisi ke bichhadne ka dar hi nahin safar mein koi ham-safar hi nahin bahut shauq ghar ko sajaane ka tha magar kya karen apna ghar hi nahin abhi dil mein raushan hai aisa diya hawaon ko jis ki khabar hi nahin khuda jaane kaisi khata ho gai duaon mein ab ke asar hi nahin likhun zakhm ko phul dil ko chaman nahin mujh mein aisa hunar hi nahin sunen bhi to kya aur sunaen to kya koi dastan mukhtasar hi nahin chalo aaj 'faruq' se bhi milen kai din se us ki khabar hi nahin