kai chehron mein dekha ja raha hun zamane ki nazar ka wahima hun ye duniya kya khabar ab ke bachegi main apna marsiya khud likh raha hun tajassus ab nazar ka aur kya hai jidhar sab dekhte hain dekhta hun haqiqat aaina jaanega lekin teri khatir sanwarna chahta hun kabhi banta hai koi lafz paikar yun likhne ko musalsal likh raha hun abhi hun phul par shabnam ka qatra abhi lab par koi harf-e-dua hun khula har ek dar 'faruq' mujh par sahar ke waqt chidiyon ki nawa hun