kisi ke dosh na markab se istifada kiya yahan talak ka safar hum ne pa-pyaada kiya jahan pe dekhe qadam apne kuchh bhatakte hue wahin thahar ke farozan charagh-e-baada kiya libas badle nahin hum ne mausamon ki tarah ki zeb-e-tan jo kiya ek hi labaada kiya amir-e-shahr sabhi the sharik-e-mashq-e-sitam kisi ne kam to kisi ne sitam ziyaada kiya har ek bar qadam but-kade mein laut aae khuda gawah hai masjid ka jab irada kiya bichhadne walon mein hum jis se aashna kam the na jaane dil ne use yaad kyun ziyaada kiya koi akela to main sadgi-pasand na tha pasand us ne bhi rangon mein rang sada kiya bahut hi tang thi 'mohsin' ye rahguzar-e-ghazal hum ahle-e-fikr-o-nazar ne ise kushada kiya