jab rukh-e-husn se naqab utha ban ke har zarra aaftab utha dubi jati hai zabt ki kashti dil mein tufan-e-iztirab utha marne wale fana bhi parda hai uth sake gar to ye hijab utha shahid-e-mai ki khalwaton mein pahunch parda-e-nashsha-e-sharab utha hum to aankhon ka nur kho baithe un ke chehre se kya naqab utha aalam-e-husn-e-sadgi tauba ishq kha kha ke pech-o-tab utha hosh naqs-e-khudi hai ai 'ehsan' la utha shisha-e-sharab utha