kisi ke dukh pe agar hum malal karte hain

kisi ke dukh pe agar hum malal karte hain
ajib log hain ulta sawal karte hain

kabhi kabhi to use phunkne ko ji chahe
wo ghar ki jis ki bahut dekh bhaal karte hain

tumhaare sath nahin masala ye shukr karo
jo tum ko dekh ke sansen bahaal karte hain

tumhein bikharte hue phul achchhe lagte the
so apni zat ko hum paemal karte hain

bhala ho shahr-e-sitamgar tere makinon ka
ye marne walon ka kitna khayal karte hain

tumhaara hijr ghanimat hai aise mausam mein
tumhaare wasl ke lamhe nidhaal karte hain

wo jin ko thik se aata nahin hai kaam koi
kamal hai ki wo 'sahir' kamal karte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close