KHushi bhi kis ne kaha wajh-e-gham nahin hoti

khushi bhi kis ne kaha wajh-e-gham nahin hoti
bata wo sham jo sham-e-alam nahin hoti

hum us jagah pe kirae ke ghar mein rahte hain
hamari rae kabhi mohtaram nahin hoti

tere khayal ke aate hi lautne se laga
har ek chiz udasi mein zam nahin hoti

jhuke hue hain ye sar to kisi musibat mein
ye ek faqir ki gardan hai kham nahin hoti

jo tere sath mohabbat thi mar gai hai wo
magar jo tujh se aqidat hai kam nahin hoti

main apne dukh mein barabar sharik hun lekin
bas ek masala hai aankh nam nahin hoti

bata rahi hain parindon ki hijraten 'sahir'
koi tabahi kabhi ek dam nahin hoti


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close