kisi ke ek ishaare mein kis ko kya na mila bashar ko zist mili maut ko bahana mila mazaq-e-talkh-pasandi na puchh is dil ka baghair marg jise zist ka maza na mila dabi zaban se mera haal chaarasaz na kah bas ab tu zahr hi de zahr mein dawa na mila khuda ki den nahin zarf-e-khalq par mauquf ye dil bhi kya hai jise dard ka khazana mila dua gada-e-asar hai gada pe takiya na kar ki e'timad-e-asar kya mila mila na mila zuhur-e-jalwa ko hai ek zindagi darkar koi ajal ki tarah der-ashna na mila talash-e-khizr mein hun ru-shanas-e-khizr nahin mujhe ye dil se gila hai ki rahnuma na mila nishan-e-mehr hai har zarra zarf-e-mehr nahin khuda kahan na mila aur kahin khuda na mila meri hayat hai mahrum-e-mudda-e-hayat wo rahguzar hun jise koi naqsh-e-pa na mila wo na-murad-e-ajal bazm-e-yas mein bhi nahin yahan bhi 'fani'-e-awara ka pata na mila